Posts

Aankhon mei tere kuch to baat

Hai aankhon mei tere kuch to baat... Boley ye teri aankhein... Kyun na boley kuch lafaz ye tere... Hai aankhon mei tere kyu khali pan sa... Boley ye teri aankhein... Hai aankhon mei kyun nami si... Boley ye teri aankhein... Teri aankhein karti hai sari baatein humse... Kabhi to tu bhi kuch bol... Hai aankhon mei tere kuch to baat... Kuch to baat…

Zindagii

Zindagii Zindagii bhi kitni ajeeb hoti hai… Kabhi ek pal mei hasati hai to kabhi ek pal mei rulati hai… Zindagii bhi kitni ajeeb hai… Yeh ek pal mei kitna kuch sikha jati hai… Zindagii bhi kitni ajeeb hoti hai… Ek pal mei apka sab kuch badal jata hai… Zindagii bhi kitni ajeeb hoti hai… Ek pal mei kitna kuch batati hai apni khamoshi se yeh… Zindagii bhi kitni ajeeb hai… Khamosh hai phir bhi kitni achi hai… Bas yeh ek pal ki hi to hai zindagii… Je loo apni zindagii jitna jee sakte ho… Pata nahi zindagii kai yeh pal phir vapis aaye ki nahi… Zindagii!!!    

Yaadein!!!

Kehte hai ki gujare hue pal kabhi lut kar nahi ate… Magar yeh bhi sach hai ki… Un gujare palon ki yaadein humesha apke saath rehti hai… Chahe vo achi yaadein ho ya phir buri yaadein… Magar hai to vo sirf apki hi yaadein… Kabhi-Kabhi ye yaadein taklif bhi de jati hai… Kyunki in yaadon mei kuch aisa hua tha…jo aaj bhi taklif deta hai… Un yaadon ko yaad karke kyi baar to rona bhi aya… Magar kya kare… Hum to roo bhi nahi sakte…kyunki hum un buri yaadon ko shayad khud hi bhulana nahi chahte… Par… saath hi saath kuch achi yaadein bhi yaad aa jati hai… Jinhe hum yaad karke haste hai… khilkhilate hai… Ye achi yaadein un buri yaadon par havi hokar hume kuch bhi nahi sochne nahi deti… Phir apki yaadein chahe kaisi bhi kyu na ho… Hai to vo sirf apki… sirf apki yaadein… aur kuch bhi nahi… Mana ki kuch buri yaadein taklif deti hai… Par kuch achi yaadein un taklifon ko bhar bhi to deti hai… Ye yaadein marte dum tak apke saath hi rehti hai… Ye Yaadein… Ye Yaadein… ...

Hai dil kya mere!!!

Hai dil mei kya mere…ye kisi ne na jana… Kyu hota hai aisa sirf humare saath hi… ye humne na jana… Kahane ko to hai yaha sabhi apne… Par vo lagte hai kyu hai jaise ho vo begane koi… Koshish to bahut ki is dil ne kisi ko batayen ye apne dil ki baat.. Par.. phir vahi sab hua jiska is nadan dil ko darr tha… Vahi apne ban gaye begane… Beech raha mei hi saath chod kar chal diye… dene kisi aur ka saath… Hai dil mei kya mere… kisi ne na jana… Kyu hota hai aisa sirf humare saath hi… Kai baar laga ki aab aisa na hoga dobara… Magar… hua vahi hadsa humare saath har baar… Kyu log ate hai is dil mei… Kyu log saath apne late hai vishwas…ki dil bhi majboor ho jata hai unhe apnene mei… Phir vahi hadsa hota hai… phir vahi sab dohraya jata hai saath humare… Vo is dil ko tod kar aage chale jatein hai… Vo is dil ka majak udate hai… Ye dil to unhe apna maan chukka tha… Par… phir vo to begane ban chale… Toda is dil ko lakhon logo ne… Magar is dil ne aahh tak nahi ki… ...

Pal pal Dil ke Pass...

Pal pal dil ke pas tum rehte ho… Bas kuch palon ka saath hi rehta hai humara…. Un kuch plaon mei yaadein chod jate ho… Pal pal dil ke pas tum rehte ho… Har waqt yahi soch mein ki kab agle pal tum aoge… Phir kab mujhe tum nayi yaadein dekar jaoge… Kehna bahut kuch chahti ho mein tumse un palon mei… Magar aankhen bas tumhe hi dekhna chahe har pal… Lagta hai darr… ki kahi aankhen japhki aur tum gayab na ho jao… Rehte ho tum mere dil ke ek kone mei… Hai har pal aab bas tumhara hi intazar… Bas kuch palon ka saath hi rehta hai humara…. Par, ho har pal mei shamil tum mere… Pal pal dil ke pas tum rehte ho… Tum rehte ho…      

Tiranga: Tricolor

Hai lahraya hai aaj Tiranga humara… Azadi ke 75 saal hue hai aaj pure… Tha bhaya jinhone apna khoon is azadi ke liye… Chamk utha aaj un shahidon ka chehra phir se… Hai lahraya hai aaj Tiranga humara… Har ghar mei…har gali mei…har jagha hai bas Tiranga humara… Puri duniya mei lahraya hai aaj Tiranga humara… Azadi ke 75 saal aaj hue pure… Ye maan hai har Hindustani ka… Hai lahraya hai aaj Tiranga humara…  

Bas Pal!!!

 Kuch palon par na tera bas nahi mera… Kuch pal humari zindagii mei kuch yaadein chod jaten hai… Kuch pal humari zindagii ko bas ek pal mei hi badal jaten hai… Kuch palon par na tera bas nahi mera… Bas yeh to teri aur meri zindagii ke pal hai… jinhe hum chahe jaise bhi bana sakte hai… In palon mei kahi-ankhai baatein hai meri-teri… In palon par na tera bas aur nahi mera… Bas hai to yeh kuch pal hi… Bas Pal…