Posts

Showing posts from August, 2021

Sister Love... :)

Image
Maa ke baad kisi ko humne jana pechana hai to vo hai… Ek “Behan”… Vo Behan jo aapko utna hi pyar, senh karti hai jitna ki Ek “Maa” aapne bache se karti hai… Vo aapko apki galati par datati hai, aapko samjhati bhi hai…. Aapko salaha bhi deti hai… Aapko jab ek sache dost ki zaroorat hoti hai… Tab vo aapke pass hoti hai… Vo aapke saath bachpan se rehti hai… Vo aapko aapse zayda behtar janti hai aur samjhati bhi hai… Hum unse ladte-jhagadte bhi hai… Magar, vo tab bhi humse utna hi pyar karti hai… Uski har baat, har socch, har icha uske akele ke liye nahi hoti… Vo apni har baat, har soch, har icha mei apko shamil karti hai… Vo ek “Behan” hi hoti hai… Jo aapke liye kisi se bhi lad jaye… Jo aap par kabhi koi taklif na ane de… Jo aapke liye ek diwar ban jaye… Vo ek “Behan” hi hoti hai… Jo aapke liye jhoot bhi haste hue bol deti hai… Jo sirf apki khushiyaan hi chahti hai… Jo dua mangte waqt bhi apne se phele aapke liye dua mangati hai… Vo ek “Behan” h...

Tiranga... :)

Image
Hai aya aaj phir vahi din… Jisey yaad karke hoti hai aaj bhi ankhein nam… Jab mili thi azadi hume… Lehraya tha Tiranga humara… Di thi kitne shahidon ne kurbani is din ke liye… Har ek sanani lada tha apni jaan hethli par lekar… Hai aya aaj phir vahi din… Jab har ek beta… har ek beti ladi thi is azadi ke liye… Na teke kisi ne apne ghootne unke samne… Na jhukya apna sar humne unke aage… Diya humne unhe ek hi javab… Jinhone kiya humare “Hindustan” par raaj… “Hindustan” humara hai… Hai jana pada tha unhe chod kar ye desh humara… Chahe ho koi sa bhi dharam hai “Tiranga” har ek “Hindustani” ka… Ho chahe vo Bhagat Singh, Rani Laxmibai, Abbas Ali… Basti hai har ek “Hindustani” ki jaan is “Tirange” mein… Lad jaye hum kisi se bhi iski shaan ke liye… Hai aya aaj phir vahi din… Jab yaad phir ayi un shahidon ki… Hai aya aaj phir vahi din…