Jungle
Ye ghar hai humara… Hai swagat yaha par sabka… Rehte hai hum sab yaha… Aakar milo kabhi humse bhi… Na karo tum hume pareshan… Nahi karein hum tumhe pareshan… Ye ghar hai humara… Milenge tumse yaha par “Yuvraj, Bano, Balvan” Aur hiren, mor, nilkhant bhi… Hai shanti humare ghar mei har taraf… Hai rehta har koi apne hi dayre mei… Ye ghar hai humara… Hai swagat yaha par sabka… Hai jene ka haq humko bhi… Phir koi akar kyun cheen leta hai humara Jeevan bhi… Kya kabhi humne akar chena hai Jeevan tumhara tumhre ghar se… Phir kyun tum humare ghar mei akar cheen lete ho Jeevan humara… Ye ghar hai humara… Hai swagat yaha par sabka… Dekho yaha ki sundarta tum bhi… Milo humse akar tum bhi… Hai is Jungle ke vasi hum… Ye ghar hai humara… Hai swagat yaha par sabka…