Maa Baap... :)

Ishwar ne apne baad kisi ko banaya hai to vo hai Ma-Baap Ghoomti hai humari zindagi apne Ma-Baap ke charo taraf… Bachpan se aaj tak apka haath pakad kar chale hai hum… Har pareshani har musibaat se bachya hai apne… Sahi Galat ka fark samjhaya hai apne… Har ek khwaish ki puri humari… Khada kiya hume humre pairon par… Sab khete hai agar bhraman ghooma hai ya dekhna hai To bas… Apne Ma-Baap ke chakar laga lo bhraman ke darshan ho jayenge… Ishwar ne apne baad kisi ko banaya hai to vo hai Ma-Baap Muluk koi sa bhi ho, dharm koi sab hi ho, jati koi se bhi ho… Magar Ma-Baap ka pyar unke bacho ke liye humesha ek sa hi rehta hai… Hum kitne bhi dur kyun na chale jayein magar Ma-Baap humari chinta karna kabhi nahi bhoolte… Ma.. Vo humesha poochegi Kahana khaya ki nahi… sabh theek hai ki nahi… Magar Baap… Vo kabhi nahi pooch pate humse ki tum theek ho, koi takleef to nahi… Magar dono aap se utna hi pyar karte hai… pyar mein unke koi kami nahi hoti… Bas dono ke...