Kismat
Kismat ki kya Kahani hai…
Is Kismat ne
kisi ko sab kuch diya…
To,
Kisi ko
khali haath chod diya…
Is kismat ne
kisi ke naseeb mei pyar likha…
To,
Kisi ke
naseeb mei sirf dard…
Is Kismat
ne kisi ki zindagii aabad kar di…
To,
Kisi ki
zindagii hi ujad di…
Har ek ki kismat
ki kahani alag hai…
Socho to
kya hai is kismat ki kahani…
Ye to vo
kahani hai jo insan khud likhta hai apne aap…
Apni Kismat
ki kahani…
Kismat…
Comments
Post a Comment