Posts

Showing posts from 2022

Aankhon mei tere kuch to baat

Hai aankhon mei tere kuch to baat... Boley ye teri aankhein... Kyun na boley kuch lafaz ye tere... Hai aankhon mei tere kyu khali pan sa... Boley ye teri aankhein... Hai aankhon mei kyun nami si... Boley ye teri aankhein... Teri aankhein karti hai sari baatein humse... Kabhi to tu bhi kuch bol... Hai aankhon mei tere kuch to baat... Kuch to baat…

Zindagii

Zindagii Zindagii bhi kitni ajeeb hoti hai… Kabhi ek pal mei hasati hai to kabhi ek pal mei rulati hai… Zindagii bhi kitni ajeeb hai… Yeh ek pal mei kitna kuch sikha jati hai… Zindagii bhi kitni ajeeb hoti hai… Ek pal mei apka sab kuch badal jata hai… Zindagii bhi kitni ajeeb hoti hai… Ek pal mei kitna kuch batati hai apni khamoshi se yeh… Zindagii bhi kitni ajeeb hai… Khamosh hai phir bhi kitni achi hai… Bas yeh ek pal ki hi to hai zindagii… Je loo apni zindagii jitna jee sakte ho… Pata nahi zindagii kai yeh pal phir vapis aaye ki nahi… Zindagii!!!    

Yaadein!!!

Kehte hai ki gujare hue pal kabhi lut kar nahi ate… Magar yeh bhi sach hai ki… Un gujare palon ki yaadein humesha apke saath rehti hai… Chahe vo achi yaadein ho ya phir buri yaadein… Magar hai to vo sirf apki hi yaadein… Kabhi-Kabhi ye yaadein taklif bhi de jati hai… Kyunki in yaadon mei kuch aisa hua tha…jo aaj bhi taklif deta hai… Un yaadon ko yaad karke kyi baar to rona bhi aya… Magar kya kare… Hum to roo bhi nahi sakte…kyunki hum un buri yaadon ko shayad khud hi bhulana nahi chahte… Par… saath hi saath kuch achi yaadein bhi yaad aa jati hai… Jinhe hum yaad karke haste hai… khilkhilate hai… Ye achi yaadein un buri yaadon par havi hokar hume kuch bhi nahi sochne nahi deti… Phir apki yaadein chahe kaisi bhi kyu na ho… Hai to vo sirf apki… sirf apki yaadein… aur kuch bhi nahi… Mana ki kuch buri yaadein taklif deti hai… Par kuch achi yaadein un taklifon ko bhar bhi to deti hai… Ye yaadein marte dum tak apke saath hi rehti hai… Ye Yaadein… Ye Yaadein… ...

Hai dil kya mere!!!

Hai dil mei kya mere…ye kisi ne na jana… Kyu hota hai aisa sirf humare saath hi… ye humne na jana… Kahane ko to hai yaha sabhi apne… Par vo lagte hai kyu hai jaise ho vo begane koi… Koshish to bahut ki is dil ne kisi ko batayen ye apne dil ki baat.. Par.. phir vahi sab hua jiska is nadan dil ko darr tha… Vahi apne ban gaye begane… Beech raha mei hi saath chod kar chal diye… dene kisi aur ka saath… Hai dil mei kya mere… kisi ne na jana… Kyu hota hai aisa sirf humare saath hi… Kai baar laga ki aab aisa na hoga dobara… Magar… hua vahi hadsa humare saath har baar… Kyu log ate hai is dil mei… Kyu log saath apne late hai vishwas…ki dil bhi majboor ho jata hai unhe apnene mei… Phir vahi hadsa hota hai… phir vahi sab dohraya jata hai saath humare… Vo is dil ko tod kar aage chale jatein hai… Vo is dil ka majak udate hai… Ye dil to unhe apna maan chukka tha… Par… phir vo to begane ban chale… Toda is dil ko lakhon logo ne… Magar is dil ne aahh tak nahi ki… ...

Pal pal Dil ke Pass...

Pal pal dil ke pas tum rehte ho… Bas kuch palon ka saath hi rehta hai humara…. Un kuch plaon mei yaadein chod jate ho… Pal pal dil ke pas tum rehte ho… Har waqt yahi soch mein ki kab agle pal tum aoge… Phir kab mujhe tum nayi yaadein dekar jaoge… Kehna bahut kuch chahti ho mein tumse un palon mei… Magar aankhen bas tumhe hi dekhna chahe har pal… Lagta hai darr… ki kahi aankhen japhki aur tum gayab na ho jao… Rehte ho tum mere dil ke ek kone mei… Hai har pal aab bas tumhara hi intazar… Bas kuch palon ka saath hi rehta hai humara…. Par, ho har pal mei shamil tum mere… Pal pal dil ke pas tum rehte ho… Tum rehte ho…      

Tiranga: Tricolor

Hai lahraya hai aaj Tiranga humara… Azadi ke 75 saal hue hai aaj pure… Tha bhaya jinhone apna khoon is azadi ke liye… Chamk utha aaj un shahidon ka chehra phir se… Hai lahraya hai aaj Tiranga humara… Har ghar mei…har gali mei…har jagha hai bas Tiranga humara… Puri duniya mei lahraya hai aaj Tiranga humara… Azadi ke 75 saal aaj hue pure… Ye maan hai har Hindustani ka… Hai lahraya hai aaj Tiranga humara…  

Bas Pal!!!

 Kuch palon par na tera bas nahi mera… Kuch pal humari zindagii mei kuch yaadein chod jaten hai… Kuch pal humari zindagii ko bas ek pal mei hi badal jaten hai… Kuch palon par na tera bas nahi mera… Bas yeh to teri aur meri zindagii ke pal hai… jinhe hum chahe jaise bhi bana sakte hai… In palon mei kahi-ankhai baatein hai meri-teri… In palon par na tera bas aur nahi mera… Bas hai to yeh kuch pal hi… Bas Pal…

Dil ki baat...

 Hai dil ki baat bas itni si… Jo bin boley na tu samajh paya… Kyu har baat is dil ki mein bolo tujhe… Hai dil ki baat bas itni si… Kabhi to tu khud samajh yeh mere dil ki baat… Hai kya   tere dil mei… mein jano sari baat… Lagta hai kyu daar mujhe kahne mei apni baat… Hai dil ki baat bas itni si… Khamosh hai lafz, aankhon mei hai ek khali pan sa… Kyu kabhi nahi samjhta tu mere ye dil ki baat… Kya ho mein tere liye aab socho mein yahi… Hai mera dil tere liye kuch khas ki nahi… Hai dil ki baat bas itni si… Bas itni si…  

Maa

Ma… Kehne ko to ek chota sa shabad hai… Magar is ek shabad mei meri puri duniya basti hai… Jab pheli baar is duniya mei aankhein kholi to sabse phele tumhe dekha… Jab pheli bar bola sikha to Ma kaha… Jab is duniya ko janana chaha to tumhe jana… Meri pheli dost Tum… jo har waqt mere saath… mere har mod par rehti ho… Meri har khusi aur gam mei tum mere pass hoti ho Ma… Mein udaas hoti ho to tum bhi udaas ho jati ho… Mein hasti ho to tum bhi has deti ho Ma… Meri har taklif ko tumne jana hai… mere har dard par tumne maharam lagaya hai… Jab jab mujhe kisi ki zarorat thi… mein humesha tumhe apne pass hi paya hai Ma… Ma… Meri Dost… Meri Humzraz… Meri Zindagii.. Ho Tum Ma…

Ud Chal

Image
 Ud chal tu ud chal.... Dekhen to kaha to ud kar jati hai Koi nahi is jahan mei jo roke aab tujhe Koi nahi is jahan mei jo kate aab tere pankhoon ko.... Ud chal tu ud chal.... Tu bani hai hi hai udne ke liye... Ud chal tu ud chal aab...

Kabhi Kabhi

Kabh Kabhi kuch ankhi baatein… Bas baatein hi ban jati hai… Hum chaha kar bhi vo baatein kabhi bol nahi pate… Kabhi kabhi kuch eshass… Bas naye se hi lagte hai… Hum chaha kar bhi un eshasoon ko bayan nahi kar pate… Kabhi kabhi kuch sapne… Bas sapne hi ban jate hai… Hum un sapoon ko chaha kar bhi pura nahi kar pate…. Kyun zindagii mei ye ek shabad hi rahe jata hai… Kabhi Kabhi… Bas Kabhi Kabhi…

Hai Pal do Pal

Image
Hai pal do pal ki yeh baat sahi… Hai ye baat tere mere beech hi sahi… Hai pal do pal ka saath sahi… Hai tere liye saath sahi ya galat… Hai pal do pal… Hai pal do pal tere mere darmiyan… Kya yeh pal hai tere liye kuch khas… Kya hai in paloon ki khamoshi… Hai pal do pal… Kabhi kuch kisey aur kahani se bhi ban jate hai… Bas pal do pal mei… Hai pal do pal ki baat sahi... Hai pal do pal tere mere darmiyan… Kuch kahi-unkahi baatein… Kuch khatte mithaee pal… Bas yahi to hai pal do pal… Hai pal do pal ki yeh baat sahi…  

Tu Hi Hai Maa... :)

Image
Hai Maa tu hi Kali…Tu hi Durga… Tu hi Lakshmi…Tu Hi Saraswati… Tu hi hai Maa… Jo iss jag mei apne bachon ki pukar sun kar daudee-daudee chali ati hai… Tere roop anek… Kabhi tu Kali, To kabhi tu Durga hai Maa… Tu acchon ke saath achi, aur buron ke saath tu buri hai Maa… Tu apne bachon ki peeda sahatee hai… Tu unhe unki peeda se mukti bhi deti hai Maa.. Aur jo galat raha par jate hai… Tu unhe sahi raha dikhati hai Maa… Tu to har jagah vas karti hai Maa… Dhan ke roop mei Maa Lakshmi… Sangeet ke roop mei Maa Saraswati… Gau ke roop mei Maa Gauri… Tu to jagat Janani hai Maa… Teri to baat hi nirali hai Maa… Agar tu chahe to kisi ko bhi nirdhan bana de… Aur kisi ko bhi dhanwan Maa… Tu to jab chahe kisi ki bhi pariksha le sakti hai… Saalo Saal Maa teri parkisha chalti hi jaye… Hai Maa apne bachon ke liye… Tu daya ka sagar, tu hi prem bhav sikhane wali… Tu hi to hai Maa… Hai Maa tu hi Kali…Tu hi Durga…Tu hi Lakshmi… Tu Hi Saraswati…. Tu hi Maa……T...

Rango ki barish

Hui hai aaj Rango ki barish… Jahan dekho, Jisey dekho… Ranga hai vo is rango ki barish mei… Asman mei dikh rahe hai aaj sare rang… Har gali, har ghar aaj ranga hai in rango ki barish mei… Hui hai aaj Rango ki barish… Milnege yaha indradhanush ke sare rang… Aaj har koi khel raha hai in rango se… Koi laga raha hai apne pyar ko rang… To Koi bhar raha hai apni zindagii mei rang… In rango ki barish ka har ek liye matlab hai aalg… Hui hai aaj Rango ki barish… Har koi jashan mana raha hai in rango ki barish mei… Asman se lekar dharti aaj rangi hai… In Rango ki barish mei… Hui hai aaj Rango ki barish…

Zindagii ke kuch pal...

Zindagii ke kuch pal kitne khas hote hai… Un paloon mei kuch yaadein si ban jati hai… Un paloon ki vo khatti-methi si kuch baatein hoti hai… Zindagii ke kuch pal kitne kha shote hai… Un paloon mei aapke saath vo shaks hota hai jo un paloon ko khas bana jata hai… Zindagii ke kuch pal kitne kha shote hai… Un paloon ki apni hi ek kahani hoti hai… Us kahani mei kuch alag si baat hoti hai… Zindagii ke kuch pal kitne kha shote hai… Vo pal apko har pal… har ghadi yaad hote hai… Aur jab bhi vo apko yaad ate hai… Apke chehre par ek pyari si muskan chod jate hai… Zindagii ke kuch pal kitne kha shote hai… Bas… Yahi to hai zindagii.. Jo kuch khas paloon se banti hai… Aur apke saath humesha rehti hai.. Zindagii ke kuch pal Bas kuch pal!!!

Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!!

Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!! Ye teeno jahan ho samjho vahan par tumhe tumhari zindagii mil gayi… Kyunki, In teeno ke bina zindagi kuch bhi nahi hoti… Dil, jo har kisi ke dhadkan hai… Jisse kabhi bhi kuch bhi nahi chupta… Dosti, dosti ke bina zindagii humesha adhuri hoti hai… Jahan dosti hoti hai samjho vaha par tumhari zindagii hai… Aur.. Pyar… isey na to lafzon ki zaroorat hai aur nahi kisi aur ki… Pyar mein sirf ehsaas hota hai… Aur jab ye teeno mil jaye… Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!! To samjho tumhe tumhari zindagii mil gayi… Aapki duniya Khushi se bhar gayi… Bas phir kya… In teeno ke saath aap apni zindagii jee sakte hai… Ye teen shabd hai… Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!! Ye har kisi ki zindagii mei mayne rakhte hai… Aisa koi bhi nahi is duniya mei jiski zindagii mei ye teeno na ho… Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!!  

Dil

Image
Kyu Dil tootata hai kisi apne ke haathon… Kyu Dil udass hota hai kisi apne ki khatir… Kyu Dil nahi mane ko tayar hota vo baatein… Kyu hota hai aisa sirf dil ke saath… Kyu Dil jo chahta hai vo dimag nahi manta… Kyu hota hai aisa… Kyu… Iss kyu ka jawab… koi to hume de… Ki jab dil tootata hai kisi apne ke haathon… To kyu itna dard, itni taklif hoti hai… Jo sahan karni bahut mushkil hoti hai… Jab Dil udaas hota hai to vo   bhi kyun Hasna chahta hai… Kyu uska dil in sab baaton ke liye rota hai… Sirf uska dil hi kyu rota hai… Uski aankhoon mei se kyu aansoon nahi ate… Aisa kyu hota hai… Ki vo rona bhi chahe to bhi roo nahi pata… Kyu Sirf Dil Rota Hai… Kyu??? Kyu???

Zindagii Do Pal Ki

Image
 Zindagii… Bas do pal ki hai… Is do pal ki zindagii ko ji lo puri tarah… Zindagii… Mein khawab kayi hai… Un khawbo ki umar utni hi choti hai… Zindagii… Mein dost kayi hai… Un doston mei sacha dost wahi hai jo umar bhar apke saath rahe… Zindagii… Bas yahi to hai zindagii…

Zindagii Ka Hissa

Image
Khushi-Gam, Pyar-Dhoka, Haar-Jeet Hasna-Rona… Sab zindagii ka hi to hisa hai… Agar ye na ho zindagii mei… To zindagii ke kya mayne hai… Haar ke baad Jeet aati hai… Jeet ke baad Haar bhi aati hai… Jab kabhi Haar, Dhoka, Gam miley to… Yeh na soochna ki zindagii khatam ho gayi hai… Balki ye socho ki aab to ek nayi zindagii chaloo hui hai… Jisme… Khushiyan, Pyar, Jeet, Hasna sab kuch hai… Khushi-Gam, Pyar-Dhoka, Haar-Jeet Hasna-Rona… Sab zindagii ka hi to hissa hai… Kabhi zindagii mei HAAR na mana… Zindagii!!