Posts

Showing posts from January, 2022

Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!!

Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!! Ye teeno jahan ho samjho vahan par tumhe tumhari zindagii mil gayi… Kyunki, In teeno ke bina zindagi kuch bhi nahi hoti… Dil, jo har kisi ke dhadkan hai… Jisse kabhi bhi kuch bhi nahi chupta… Dosti, dosti ke bina zindagii humesha adhuri hoti hai… Jahan dosti hoti hai samjho vaha par tumhari zindagii hai… Aur.. Pyar… isey na to lafzon ki zaroorat hai aur nahi kisi aur ki… Pyar mein sirf ehsaas hota hai… Aur jab ye teeno mil jaye… Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!! To samjho tumhe tumhari zindagii mil gayi… Aapki duniya Khushi se bhar gayi… Bas phir kya… In teeno ke saath aap apni zindagii jee sakte hai… Ye teen shabd hai… Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!! Ye har kisi ki zindagii mei mayne rakhte hai… Aisa koi bhi nahi is duniya mei jiski zindagii mei ye teeno na ho… Dil!!! Dosti!!! Aur Pyar!!!  

Dil

Image
Kyu Dil tootata hai kisi apne ke haathon… Kyu Dil udass hota hai kisi apne ki khatir… Kyu Dil nahi mane ko tayar hota vo baatein… Kyu hota hai aisa sirf dil ke saath… Kyu Dil jo chahta hai vo dimag nahi manta… Kyu hota hai aisa… Kyu… Iss kyu ka jawab… koi to hume de… Ki jab dil tootata hai kisi apne ke haathon… To kyu itna dard, itni taklif hoti hai… Jo sahan karni bahut mushkil hoti hai… Jab Dil udaas hota hai to vo   bhi kyun Hasna chahta hai… Kyu uska dil in sab baaton ke liye rota hai… Sirf uska dil hi kyu rota hai… Uski aankhoon mei se kyu aansoon nahi ate… Aisa kyu hota hai… Ki vo rona bhi chahe to bhi roo nahi pata… Kyu Sirf Dil Rota Hai… Kyu??? Kyu???

Zindagii Do Pal Ki

Image
 Zindagii… Bas do pal ki hai… Is do pal ki zindagii ko ji lo puri tarah… Zindagii… Mein khawab kayi hai… Un khawbo ki umar utni hi choti hai… Zindagii… Mein dost kayi hai… Un doston mei sacha dost wahi hai jo umar bhar apke saath rahe… Zindagii… Bas yahi to hai zindagii…

Zindagii Ka Hissa

Image
Khushi-Gam, Pyar-Dhoka, Haar-Jeet Hasna-Rona… Sab zindagii ka hi to hisa hai… Agar ye na ho zindagii mei… To zindagii ke kya mayne hai… Haar ke baad Jeet aati hai… Jeet ke baad Haar bhi aati hai… Jab kabhi Haar, Dhoka, Gam miley to… Yeh na soochna ki zindagii khatam ho gayi hai… Balki ye socho ki aab to ek nayi zindagii chaloo hui hai… Jisme… Khushiyan, Pyar, Jeet, Hasna sab kuch hai… Khushi-Gam, Pyar-Dhoka, Haar-Jeet Hasna-Rona… Sab zindagii ka hi to hissa hai… Kabhi zindagii mei HAAR na mana… Zindagii!!